Hello friend Bloggers ya Youtube user dono ke liye Adsense account bahut jaruri hai. kyuki adsense se hi humari income hoti hai. adsense ke alawa hum affiliate marketing se apne blog par paise kama sakte hai but hindi blog ke liye adsense sabse better hai. bahut si site hai jo hume ads dikhane ke paise deti hai. par adsense sabse jyada paise deti hai. adsense account kaise banaye iske bare me or janne ke liye ye post ache se padhe. |
Create adsens account |
Adsense Account Banane Ke Liye Kya Kya chahiye?
sabse pahli or most baat aapko adsense ke niymo (rules) ka palan karna hoga. agar aap adsense accont ke niymo ka palan nahi kar pate hai to aapka adsense account block bhi ho sakta hai.
Yaad rahe aap sirf ek hi adsense account bana sakte ho. kyuki google ek se jyada adsense account banane ki anumati nahi deta.
1. Email (Gmail) Accont
2. A. Website ya Blog B. Youtube Accont
aap 2no se ansense accont bana sakte ho. yaha mai aapko 2no ke bare me puri jankari kesath bataunga.
1. Gmail Account
aapke pas pahle se gmail accont hai to bahut achi bat hai or agar aapke pas gmail account nahi hai to pahle apna gmail account bana le.
Dosto aapne blog to bana hi rakha hoga. or usme kuch post bhi upload kar rakhi hogi. aapke blog par visitors nhi aate honge. or agar aapne apne blog ko adsense se connect nahi kiya hai to aaj mai aapko iska tarika bta raha hu. agar aapne abhi tak apna blog nahi banaya hai to pahle apna blog bana le.
Adsense account banane ke liye aapki site par per day kam se ka m300 pageviews hone jaruri hai. agar aap isse kam traffic se adsense account banane ki koshish karoge to aapka adsense account nahi banega.
So plz pahle apne blog ki traffic badhaye uske bad ye post follow kare.
Google Adsense Account Kaise Banaye Step By Step – Full Guide
adsense account banane ke liye aapko bas kuch simple step follow karne hai. but dhyan rahe adsense account me galt jankari nahi bharni hai. apna sahi address or sahi details bhare. jisse aapko future me koi problem na ho.
sabse pahle adsense.com site par jaye.
1. Sign Up Now par click kare.
Adsense sign up now |
2. Ab ek new windows khulegi .
wellcome to Adsense |
1. agar pahle se log in account se adsense account banana chahate ho to Yes, procced to google account sign in par click kare.
2. agar aap kisi dusre ya new gmail account se adsense banana chahate ho to No, create new google account par click kare.
1. yaha par aap apni website ka url type kare.
(agar aapke pas khud ki website nahi hai to aapke pas 2 option hai
1. ayoutube ke dwara adsense account banaye.
2. ya fir aap apni khud ki website banaye.
agar aap youtube ke jariye adsense accont banana chahate ho to yaha par click kare.
adsens website |
2. fir Continue par click kar.
Continue par click karte hi aapke samne adsense account ke ek information window khulegi. jisme aapke address ke bare me pucha jayega. isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek dak aati hai usme aapke address ke verify ke code honge jo aapko adsense account me dal kar apna pata verify karna hai. address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
Adsense Accoun Banaye |
1. yaha par aap apni country select kare.
2. apne country ka time zone set kare. india ka time zone +05:30 hai
3. Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare.
4. Apna company naam likhe. company naam se aapka bank account hona chahiye.
5. apna sahi pata yaha par enter kare. dyan rahe ye sahi sahi bharna hai. ye maine aapko pahle bhi btaya hai.
6. apne city ka sahi naam bhare.
7. apna state konsa hai wo select kare. jaise:- Rajasthan
8. apne pin code enter kare.
(pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar se puch le)
9. yaha par aapko apna pura naam bharna hai. aap jo bhi chahe bhar sakte hai. wese apna asali wala naam jyada sahi rahta hai.
10. apne mobile number enter kare.
(*agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. no. verify karne ke liye aap msg ya voice call koisa bhi option choon sakte hai. ab aapke pas ek msg ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke verify kar le agar koi problem aaye to comment me apni problem likhe mai madad karunga*)
11. aap kis liye adsense account bana rahe hai wo select kare. agar aap blog ke liye adsense account bana rahe ho to “online forum or blog” select kare.
12. yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
13. ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti na ho. sabkuch theek bharne ke bad Submit My Application par click kARE
ab aapka assense account ban gaya hai . ab bas adsense account approved hona baki hai . jab aapka adsense account approve ho jayega to aapki gmail id par ek msg aa jayega. isme 2-5 din bhi lag sakte hai.
I hope aap is post ko follow karke aasani se adsense account bana sakte ho. fir bhi agar aapko kahi par koi probem aaye ya aapko koi step samajh na aaye to niche comment me mujhe apni problem btaye.
Sath hi apna 1 minute ka time nikal kar is post ko share kar ke humari help karna na bhoole, aap chahe to hume social media par follow kar ke humse contact kar sakte hai.
Thank you..
1 Comments
http://www.trendingspost.info/2018/09/google-adsense-account-kaise-banaye.html
ReplyDelete